jeena toh hai in saason se,
par jaan toh hai iss jigar say,
mera jaan aur jigri tu hi hai,
ab kya baataye in alfazon se..
samay beet raha hai palon main,
pal beet rahe hai jeene main,
mere har pal main jee raha tu hi hai,
dhadkanon main,iss seene main...
nadiyan behti sagar tak,
aur paani unme behta hai,
kinara toh sirf sagar tak,
dost sagar tu hi rehta hai...
raste banate zindagi,
har kadam rasta banata hai,
jab zindagi tujhse har kadam par,
ye jaan bhi fakhar khata hai..
udaan ke liye pankh zaroori,
pankh pakshi banata hai,
iss azaad pankshi ke pankh bankar,
dost tu usse udata hai..
dosti bane pyaar se,
shayad pyaar main na paye dosti,
par pyaare dost ko paakar,
ye mann aur kuch nahi chahta hai....
No comments:
Post a Comment